Originally released on vinyl as "Enchanting hour with Jagit and Chitra. 1. sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista
2. Duniya jise kahte hain 3. Ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya/Yaar ko mein ne 4. mujhe yaar ne sone na diya
5. tum nahin gham nahin sharaab nahin aisee tanhayee ka jawaab nahin gahey gahey isey padha kijey dil say behtar koi kitaab nahin jaaney kis kis ki maut aayee hai aaj rukh pay koi naqaab nahin woh karam oongliyoN pe ginte haiN zulm ka jinke kuch hisaab nahin
6. baat nikalegee to phir duur talak jaayegee log bewajaH udaasee kaa sabab poochhenge ye bhee poochhenge ke tum itnee pareshaaN kyooN ho oongliyaaN uTheNgee sookhe huye baaloN kee taraf ek nazar dekheNge guzre huye saaloN kee taraf chooDiyoN par bhee kaI taNz kiye jaayeNge kaaNpate haathoN pe bhee fikRe kase jaayeNge log zaalim haiN har ek baat kaa taanaa deNge baatoN baatoN meiN meraa zikR bhee le aayenge unakee baatoN kaa zaraa saa bhee asar mat lenaa waRnaa chehre ke taasur se samaJh jaayeNge chaahe kuchh bhI ho sawaalaat naa karnaa unse mere baare meiN koI baat na karnaa unse baat nikalegii to phir door talak jaayegee
7. bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan kete haiN tuJhe ae' zindagi hum door se pehchaan lete haiN tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raatoN ko hum aise meiN teri yaadoN ki chaadar taan lete haiN fizaa aksar badal kar bhesh milta hai koi qaatil kabhi hum jaan lete haiN kabhi pehchaaN lete haiN **
8. jab bhi aati hai teri yaad kabhi shaam ke baad aur baDh jaati hai afsoorda-dili shaam ke baad ab iraadoN pe bharosa hai na tauba pe yakeeN muJhko le jaa re kahan tashna_labi shaam ke baad yuN to har lamhaa teri yaad ka boJhal guzraa dil ko mehsooS hui teri kaMi shaam ke baad yuN to kuCh shaam se pehle bhi udaasi thee 'Adeeb' ab to kuCh aur baDhi dil ki laGi shaam ke baad
9. uski hasrat hai jise dil se miTa bhee na sakooN dhoonDne usko chala hooN jise paa bhee na sakooN meharbaaN hoke bula lo muJhe chaaho jis waqt maiN gaya waQt naheeN hooN ke fir aa bhee na sakooN daal kar kHaak mere khooN pe qaaTil nikaah kuCh ye meHndi naheeN meri ke chupaa bhi na sakooN zauf meiN taa maye agiyaar ka shikwaa kya hai baat kuCh sar to naheeN hai ke utha bhee na sakooN zabt kambakht ne aur aake gala ghonTa hai ke use' haal sunawooN to suna bhee na sakooN zaher milta hee nahiN muJhko sitamgar warna kya kasam hai tere milne ki ke khaa bhee na sakooN uske pehlooN meiN jo le jaake sulaa dooN dil ko neeNd aisi use' aaye ke jagaa bhee na sakooN
Lyrics : Ameer Meenai (1,9) kafeel Aazer (6) Krishan Adeeb (8) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh Chitra Singh
This page has been accessed times since 4th June 1997.