Come Alive


Volume I

dostoN,

aap sab ko dekh kar mera kaleza duguna ho gaya hai. hamari bhi
ab yahi koshish hai ke is shaam ka aap poora poora maza lekar
ghar lauteN.

aaj ki shaam ki ibteda hum kar rahe hain ek ghazal se shayar hain
nida fazli,uske baad chand nayee ghazlen pesh karenge fir jaisi
jaisi aap ki farmaaish rahegi...hmmm.....


1.   duniya jise kehte haiN jaadoo ka ek khilona hai
     mil jaaye to miTTi hai, kho jaaye to sona hai

	 



2. har soo dikhaayee dete hain wo jalwagar muJhe kya kya fareb deti hai meri nazar muJhe dala hai bekhudi ne ajab raah par muJhe aaNkheN hai aur kuch nahiN aata nazar muJhe dil leke muJhse dete ho daag-e-zigar muJhe ye baat bhoolne ki nahi umR bhar muJhe aaya na raasna laaye dil ka asar muJhe ab tum mile to kuch nahin apni khbahar muJhe
3. jab kabhi tera naam lete haiN dil se hum intekaam lete haiN meri barbaadiyoN ke afsaane mere yaaroN ke naam lete haiN bas yahi ek zurM hai apna hum mohabbat se kaam lete haiN har kadam par gire magar seekhaa kaise girtoN ko thaam lete haiN ham bhaTak kar zunooN ki raahoN meiN aKl se intekaam lete haiN
4. tum naihin, gham nahin sharaab nahiN aisi tanhaayee ka jawaab nahiN gaahe gaahe ise paDha kije dil se behtar koi kitaab nahiN jaane kis kis ki maut aayeee hai aaj ruKh pe koi naqaab nahiN wo karam oongliyoN pe ginte haiN zulm ka jinke kuch hisaab nahiN
5. kaun kehta hai mohabbat ki zubaaN hoti hai ye hakikat to nigaahoN se bayaaN hoti hai wo naa aaye to sataati hai khalish si dil ko wo jo aaye to khalish aur jawaan hoti hai rooh ko shaad kare dil ko jo purnoor kare har nazaare ki ye tanweer kahaN hoti hai zabt-e-sailaab-e-mohaabt ko kahan tak roke dil meiN baat ho aankhoN se ayaaN hoti hai zindagi ek sulagti si chitaa hai 'saahir' shola banti hai na ye buJh ke dhuwaN hoti hai
6. sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista sawal-e-vasl pe unko uduu ka khauf hai itna dabe hoToN se dete haiN jawab aahistaa-aahista hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista
Volume II
7. dhai din na jawaani naal chaldi (punjabi)
8. charka mera rangla (punjabi)
9. ishq mein ghairat-e-jazbaat ne rone na diya warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diya yaar ko maine ne mujhe yaar ne sone na diya raat bhar taal-e-deedar ne sone na diya aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb uMr bhar aapki is baat ne rone na diya ek shab bulbul-e-betaab ke jaage na naseeb pehlu-e-gul ne kabhi khaaR ne sone na diya unse milkar hameN rona thaa bahut rona thaa tang ye waqt-e-mulaakat ne rone na diya raat bhar ki hile betaab ne baateN muJhse ranz-o-mehnat ki giraftaar ne sone na diya rone waaloN se kaho unka bhee rona roleN jinko majboor ye haalaat ne rone na diya
10. woh nahin milta muJhe iska giLa apni jagah uske mere darmiyaan ka faasla apni jagah zindagi ke is safar meiN saikDon chehre mile dilkashi unki alag hai paitar tera apni jagah tuJh se milkar aane waale kal se nafrat moLli ab kabhi tuJhse na bichdooN ye dua apni jagah ik musarsar daud mein hai manzileN aur faasle paaOn to apni jagah hai raasta apni jagah
11. koi paas aaya sawere sawere muJhe aajmaaya sawere sawere meri daastaaN ko zara sa badal kar muJhe hi sunaaya sawere sawere jo kehta thaa kal shab sambhalna sambhalna wahi lad-khadaaya sawere sawere kati raat saari meri maikade meiN khuda yaad aaya sawere sawere
12. meri tanhaiyoN tum hi laga lo muJhko seene se ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se ye aadhi raat ko fir choodiyaan si kya khanakti hai koi aata hai ya meri hi zanzeereN chanakthi hai ye baaten kis tarah poochooN main saawan ke mahine se ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se peene do muJhe apne hi lahoo ka jaam peene do na seene do kisi ko bhi mera daaman na seene do meri wahshat na badh jaaye kahin daaman ke seene se ke maiN ghabraa gaya hooN is tarah ro ro ke jeene se
Lyrics : Nida Fazli (1) Jigar Moradabadi(2) Sardar Anjum(3) Saeed Rahi (4,11) Sahir Hoshiyarpuri (5) Ameer Meenai (6) Inderjeet Hassanpuri(7,8) Sudarshan Faakir(9) Aatish (9) Iftikar Imam Siddiqi (10) Prem Warbartoni (12) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh Chitra Singh

This page has been accessed times since 9rd October 2000.