Face to Face


1.   sachchi baat kahi thee maiNe
     logoN ne sooli pe chaDhaya
     muJhko zehaR ka jaaM pilaaya
     phir bHi unko cha'in na aaya
     sachchi baat kahi thee maiNe
   
     leke jahaN bhi waqt gaya hai
     zulM mila hai zulm saha hai
     sach ka Ye Inaam mila hai
     sachchi baat kahi thee maiNe

     sab se behtaR kabhi na ban'na
     jag ke rehBar kabhi na ban'na
     peer pa'yambar kabhi na ban'na
     sachchi baat kahi thee maiNe

     chup rehkar hi waqt guzaarO
     sach kehne pe jaaN math waaro
     kuch to seekho muJh se Yaaro
     sachchi baat kahi thee maiNe


2. dairO haram meiN basNe waaLe mai-KhaRo meiN phooT na Daalo ThoofaaN se hum TaKraaYenge tum apNi kashthi ko samBhalO maiKhana meiN aaYe waaee'z inko bhi insaaN bana Lo aarizoN-laB saada rehne do tajMahal pe rang na daalo
3. besabab baat baDhaaNe ki zaroorat kya hai hum khaFa kab the maNaane ki zaroorat kya hai aapKe dum se to duniYa ka bhaRam hai kaaYam aap jab haiN to zamaaNe ki zaroorat kya hai tera kucha, tera dar, teri gali kaafi hai be-ThikanO ko Thikane ki zaroorat kya hai dil se miLne ki tamanna hi nahiN jab dil meiN haath se haath milaaNe ki zaroorat kya hai ranG aankhoN ke liye boo hai damaagoN ke liye phool ko haaTh lagaane ki zaroorat kya hai
4. zindagGi tune lahoo leke diYa kuch bhi nahiN tere daamaN meiN mere waaste kYa kuch bhi nahiN mere in haathoN ki chaaho to talaashi le lO mere haathoN meiN lakiroN ke siwa kuch bhi nahiN humNe dekha hai kai aise khudaOn ko yahaN saamNe jinke wo sach much ka khuda kuch bhi nahiN Yaa khuda ab ke ye kis ranG se aaYi hai bahaaR zarD hi zarD hai peDoN pe hara kuch bhi nahiN dil bhi ik zid pe aDa hai kisi bachche ki taraH ya to sab kuch hi ise chaachiYe ya kuch bhi nahiN
5. tumNe badle humSe gin-gin ke liye humNe kya chaaha tha is din ke liye waSl ka din aur itna mukhTasar din giNe jaate the is din ke liYe wo nahiN sunte hamari kYa kareN maanGte haiN hum dua jinke liYe chaahNe waalO se gar matlab nahiN aap phir paida hua kinke liYe baarabaaN kaliYan ho halqe ranG ki bheJnee hai ek kamsin ke liYe
6. pyaaR ka pehla khat liKhne meiN waqt to lagta hai naYe pariNdo ko uD'dne meiN waqt to lagta hai jiSm kee baat nahiN thi unKe dil taq jaana tha lambi doori tay kaRne meiN waqt to lagta hai gaanTh agar pad jaaye to phir rishte ho ya Dori laakh kareN koshish khulne meiN waqt to lagta hai humNe ilaaze zakhme dil to DhoonD liya lekin gehRe zakhmoN ko bharNe meiN waqt to lagta hai
7. jeete rehNe ki saza de, zindaGi ae zindaGi ab to maRne ki dua de zindaGi ae zindaGi maiN to ab uqta gaya hoon kya yahi hai qaayanaat bas Ye aa'ieena haTa de zindaGi ae zindaGi DhoonDne niklaa Tha tuJhko aur khud ko kho diYa tu hi ab mera pata de zindaGi ae zindaGi Yaa muJhe ehsaas ki ees qaid se kar de riHaa waRna deewana banaade zindaGi ae zindaGi
8. sheiKhji thoDi see peeKar aa'iye mai hai kYa shai pHir hume batlaa'iYee aap kYoon haiN saari duniya se khaFa aap bHi dusHman mere ban jaa'iye kYa hai achcha, kya buRa banda-nawaaZ aap samJheN to hume samJhaa'iYe jaaNe diJe akL ki baateN janaaB dil ki suniYe aur peete jaa'iYe
Lyrics : Saabir Dutt (1) Khamosh Ghazipuri (2) Shaahid Kabir (3) Rajesh Reddy (4) Daag and Ameer Minayee (5) Hasti (6) Zaka Siddhiki (7) Sudarshan Faakir (8) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh

This page has been accessed times since 6th january 1997.