Forget Me Not




1.   tum hamaare nahiN tho kya gham hai
     hum tumhare tho haiN ye kya kam hai

     husN ki shokiyaaN zara dekho
     gaahe shola hai gaahe shabnam hai

     mushkuraa do zara khuda ke liye
     shamm-e-mehfil meiN roshni kam hai

     ban gaya hai ye zindag ab to
     tunJhse baDhkar hameN tera gham hai


2. teri berukhi aur teri meharbaaNi yahi maut hai aur yahi zindgaaNi wahi ek fasaana wahi ek kahani jawaani jawaani jawaani jawaani laboN par tabassuM tho aankhoN mein hai paani yahi hai yahi dil jaloN ki nishaani bataaooN hai kya aaNsooN ki haqiqat jo smJho tho sab kuch na smJho tho paani berukhi : moonh modna, laaparwaahi ( ) tabassuM : mushkaan (smile)
3. aankoN se yooN aaNsoo dhalke saagar se jaise mai chalke hum samJhe mafhoom-e-baharaaN koi aya bhesh badal ke kaash bata sakte parwaane kya khoya kya paaye Jal ke manzil tak wo kya pahuNchaaye jisne dekhi raah na chal ke mafhoom-e-baharaaN : bahar ka arth ()
4. abhi wo kamsin ubHar raha hai abhi hai us par shabaab aadha abhi jigar meiN khalisH hai aadhi abhi hai muJhpar itaaB aadhaa mere sawaal-e-wasl par tum nazar jhuka kar khaDe huye ho tumhi bataaO ye baat kya hai swaal poora jawaab aadhaa laga ke laare pe le tho aaya hooN sheikh sahaaB ko maiqade tak agar ye do ghooNT pi le milege muJhko sabab aadha kabhi sitam hai kabhi karam hai kabhi tawaJJO kabhi tagaful ye saaf zaahir hai muJhse ab tak hua hooN maiN kaamyaab aadhaa kamsin : kam uMr (young,feminine) khalisH : yauwan, jawaan (young masaculine) itaaB : krodkh, gussa (anger) sawaal-e-wasl : milan ka sawaal (question of meeting) sawaab: punya (good deed) sitam : zulm (atrocity) karam : meherbaani (gratefulness) tawaJJO : dhyaan (meditation) tagaful : laaparwaahi (careless)
5. in ashkoN ko paani kehna bhool nahiN naadaani hia tan-man mein jo aag lagaaye ye tho aise paani hai kaise tum se iskq hua thaa kya kya hum par biti hai sunlo tho sachcha afsaana warna ek kahaani hai sheik-O-baRhaman zaahiD-O-waaeeZ piree mein ye kya jaane bhool bhi ho jaathi hai isme iska naam jawaani hai dukh-sukh sehna aur khush rehna iskq mein laazim hai ye 'sahar' dil waale ho math ghabraaO ye tho reet puraani hai sheik-O-baRhaman : mulla aur panDit (islmic and hindu priest) zaahiD-O-waaeeZ : tapaswi dharmik pracharak (religious preacher)
6. phool bhare haiN daaman daaman lekin weeraN ghshan gulshan aKl ki baat karne waale kya samJhoge dil ki dhaDkan kaun kisi ke dukh ka saathi apne aaNsooN apna daaman tera daaman chodooN kaise meri duniya tera daman
7. husn waaloN ka ehtaraam karo kuch tho duniya meiN nek kaam karo seikh aayeN hiaN Baawzoo hokar ab tho peene ka intezaam karo abhi barsenge har taraf jalwe tum nighaahoN ka ehtamaam karo log darne lage gunaahon se barish-e-rehmat-e-tamaam karo ehtaraam : izzat (respect) Baawzoo : wazoo karna ( ) ehtamaam : prabandh (arrangement) barish-e-rehmat-e-tamaam : khuda ki kripa ki baarish (shower of lords blessings)
8. utha suraahi ye sheesha-o-jaam le saaqi fir iske baad khuda ka bhii naam le saaqi fir uske baad hameN tishnagi rahe na rahe kuch aur der murawwat se kaam le saaqi fir iske baad jo hoga wo dekha jaayega abhi to peene pilaane se kaam le saaqi tere huzoor meiN hosh-o-kHirad se kya haasil nahin hain mai tho nigaahon se kaam le saaqi tishnagi : pyaas (thirst) murawwat : sneh, dosthi (dear, friendship) huzoor : darbaar (court)
Lyrics : Kanwar Mohinder Singh Bedi (Sahar) Music : Ghanshyam Vaswani Voices : Jagjit Singh

This page has been accessed times since 10th September 2003.