1. tum ko dekha to ye khayaal aaya zindagi dhoop tum ghana chaaya aaj phir dil ne ik tamanna ki aaj phir dil ko humNe samJhaaya tum chale jaaoge to socheNge humne kya khoya humne kya paaya hum jise gunguna nahiN sakte waqt ne aisa geet kyooN gaaya
2. ye tera ghar ye mera ghar kisi ko dekhna ho gar to pehle aake maaNg le meri nazar teri nazar ye tera ghar ye mera ghar ye ghar bahut haseen hai ye ghar bahut haseen hai ye ghar bahut haseen hai na baadloN ke chaaOn meiN naa chandni ke gaaOn meiN na phool jaise raaste bane haiN iske waaste magar ye ghar ajeeb hai zameen ke kareeb hai ye eet-pattharoN ka ghar hamaari hasratoN ka ghar jo chaandni nahin to kya ye roshni hai pyaar ki diloN ke phool khil gaye to fikR kya bahaar ki hamaare ghar na aayegi kabhi khushi udhaar ki hamaari raahatoN ka ghar hamaari chaahatoN ka ghar yahan mahak wafaaoN ki mohabbatoN ka rang hai ye ghar tumhara khwaab hai ye ghar meri umang hai na aarzoo pe qaid hai na hausle pe jung hai humare hausloN ka ghar hamaari himmatoN ka ghar
3. kyooN zindagi ki raah mein majboor ho gaye itne huye kareeb ke hum door ho gaye aisa naheeN ke humko koi bhee khushi nahiN lekin ye zindagi to koi zindagi nahiN kyooN iske faisle hameN manzoor ho gaye paaya tumHe to humko laga tumko kho diya hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya palkoN se khwaab kyooN gire kyooN choor ho gaye
4. pyar muJh se jo kiyaa tumne to kya paaogi mere haalaat ki aandhi meiN bikhar jaaogi ranj aur dard ki basthi ka maiN baashinda hooN ye to bas maiN hooN ke is haal meiN bhi zinda hooN khwaab kyoon dekhooN wo kal jispe maiN sahrminda hooN maiN jo sharminda hooN to aur tum bhi sharmaaogi kyooN mere saath koi aur pareshaaN rahe meri duniya hai jo weeraan to weeraan rahe zindagi ka ye safar tum pe to aasaan rahe humsafar muJhko banaaogi to pachtaaogi ek maiN kya abhi aayenge diwaane kitne abhi goonjeNge mohabbat ke taraane kitne zindagi tumko sunaaegi fasaane kitne kyoon samaJhti ho muJhe bhool nahi paaogi
5. ye bata de muJhe zindagi pyaar ki raah ke humsafar kis tarah ban gaye ajnabee ye bata de muJhe zindagi phool kyooN saare muJhaa gaye kis liye buJh gayee chandini kal jo baahoN meiN thee aur nigaahoN meiN thee ab wo garmi kahaaN kho gayee na wo andaaz hai na wo awaaz hai ab wo narmi kahaaN kho gayee bewafa tum nahiN bewafa hum nahiN fir wo jazbaat kyooN so gaye pyaar tumko bhi hai pyaar humko bhi hai faasle phir ye kyooN ho gaye ye bata de muJhe zindagee
6. tum itna jo muskura rahe ho kya gham hai jisko chupaa rahe ho aankhoN meiN namee haNsi laboN par kya haal hai kya dikhaa rahe ho ban jaayenGe zaher peete peete ye ashQ jo peete rahe ho jin zakhmoN ko waqt bhar chala hai tum kyooN unhe cheDe jaa rahe ho rekhaaOn ka khel hai muqqaddar rekhaaOn se maat khaa rahe ho
7. jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ke nahiN daba daba sa sahee dil meiN pyaar hai ke nahiN tu apne dil ki jawaaN dhaDkanoN ko gin ke bata meri tarah tera dil beqaraar hai ke nahiN wo pal ke jis meiN mohabbat jawaaN hoti hai us ek pal ka tuJhe intezaar hai ke nahiN teri umeed pe ThukRaa raha hooN duniya ko tuJhe bhee apne pe ye aitbaar hai ke nahiN
8. teray khushboo meiN basay khat main jalata kaisay pyaar mein doobay huye khat main jalata kaisay teray haathoN ke likhay khat main jalata kaisay jinko duniya ki nigaahoN say chupayey rakha jinko ik umar kalayjay say lagayay rakha deen jinko jinhay imaan banaay rakha jinka har lafz mujhay yaad paani ki tarah yaad they mujko jo paigaam-e-zubaani ki tarah mujko jo pyaarey they anmol nishani ki tarah toone duniya ki nigaahoN say jo bach kar likhay saal-ha-saal mere naam barabar likhay kabhi din mein to kabhi raat ko uTh kar likhay teray khat aaj main Ganga mein baha aaya hooN aag behtay huye paani meiN laga aaya hooN
9. too nahiN to zindagi meiN aur kya reh jaayega door tak tanhaaeeyoN ka silsila reh jaayega dard ki saari tahe aur saare guzre haadse sab dhooaN ho jaayenge ik faakeya reh jaayega yuN bhee hoga wo muJhe dil se bhula dega maGar ye bhee hoga khud usee meiN ik khala reh jaayega daayre inkaar ke iqraar kee sargoshiyaaN ye agar TooTe kabhee to faaslaa reh jaayega
10. koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyooN hai wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyooN hai yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyooN hai yahi hota hai to aakhir yahi hota kyooN hai ik zara haath baDha deN to pakaD le daaman uske seene meiN sama jaaye hamari dhaDkan itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyooN hai dil-e-barbaad se nikla nahiN ab tak koi ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi aas jo TooT gayee phir se bandhaata kyooN hai tum asarrat ka kahO ya ise gham ka rishta kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta hai janam ka jo ye rishta to badalta kyooN hai
Lyrics : Javed Akhtar (1,2,3,4,5) kaifi Aazmi (6,,7,10) Iftikhar Imam Siddiqi (9) Movies : Saath Saath (1,2,3,4,5,8,9) Arth (6,7,9,10) Music : Jagjit Singh - Arth Kuldeep Singh - Saath Saath Voices : Jagjit Singh Chitra Singh
This page has been accessed times since 24th April 1997.