Madhushaala


      madira meiN jaane ko ghar se chaltaa hai peenewaala
      kis path se jaaooN asmanjas meiN hai wo bhola bhaala
      alag alag pathu batalaathi sab paR maiN ye bataata hooN
      raah pakaD tu ek chalaa-chal paa jaayega madhushaala

 
sun kal-kal chal-chal madhu-ghaT se girti pyalOn meiN haala sun run Jhun-Jhun chal witran karti madhusa ki baala bas aa pahunche door nahiN kuch chaar kadam aur chalna hai chahak rahe sun peene waale mehak rahi le madhushaala
naal sura kee dhaar lapaT see keh na dena ise jwaaLa madira hai math isko keh dena uRR ka chaala dard nasha hai is madira ka wigat smritiyaN saaqi haiN peeDa meiN anand jise ho aaye meri madhushaala
dharm-grandh sab jala chuki hai jiske antar kee jwaala mandir masjid girje sab ko toD chuka jo matwaala panDit momin paadriyoN ke fandoN ko jo kaat chuka kar sakti hai aaj usee ka swaagat meri madhushaala
laalayeet adhRoN se jisne haaye nahiN choomi haala harshit kampit kar se jisne haay madhu ka chooaa pyaala haath pakaD kar lajjit saaqi ko paas nahiN jisne kheencha wyarth sukha Daali jeewan kee usne mahdumay madhushaala
bane pujaari premi saaqi ganga jal paawan haala rahe ferta awirat gati se madhu ke pyaaloN kee maala aur leeye jaa aur peeye jaa isi mantr ka jaap keeye jaa maiN shiv ki pratima ban baiThooN mandir ho ye madhushaala
ek baras meiN ek baar hee jagti holi kee jwaala ek baar hee lagti baaji jalti deepoN kee maala duniya waaloN kintu kisi din aa madiraalay meiN dekho din meiN holi raat diwaali roz manaati madhushaala
adharon par ho koee bhi ras jiwha par lagti haalaa han jag ho koee haathon mein lagta rakkha hae pyaalaa har surat saaqi ki surat mein parivartit ho jaati aankhon ke aage ho kuchh bhi aankhon mein hae Madhushaalaa.
sumukhi tumhara sundar mukh hi mujh ko kanchan kaa pyaalaa chhalak rahi hai jisme maNik roop madhur maadak haalaa maiN hi saaqi banta maiN hi peene waala banta hoon jahan kahin mil baithe hum tum wahiN gaee ho madhushaala
do din hee madhu muJhe pilaa kar oob uthi saaqi baalaa bhar kar ab khiska detee hai woh mere aage pyaalaa naaz-o-adaa andaazon se ab haaye pilaanaa door hua ab to kar detee hai kewal farz-adaaee madhushaalaa
choTe se jeewaN meiN kitna pyaar karooN peelooN haala aane ke hee saath jagat meiN kehlaaya jaane-waala swaagat ke hee saath wida ki hothi dekhi tayyaari band lagi hone khulte hee meri jeewan madhushaala
saant saki ho ab taq saaqi peekar kis uRR kee jwaala aur aur ki raTan lagaata jaata har peene-waala kitni iKsha ek har jaaNe-waala yahaN choD jaata kitne aRmaanoN kee bankar qaBr khaDi hai madhushaala
yam aayega saaqi bankar saath liye kaali haala pee na hosh meiN phir aayega sura wisudh yeh matwaala yeh antim behoshi antim saaqi antim pyaala hai pathiK pyaar se peena isko fir na milegee madhushaala
girti jaati hai din-pratidin pRanayani pRaanoN kee haala maGn hua jaata din-pratidin deen subhge mera tan pyaala rooth raha hai muJhse roop si din-din yauwan ka saaqi sookh rahi hai din-din sundari meri jeewan madhushaala
Dhalak rahee ho tan ke ghaT se sangini jab jeewanhaala paaTr garal ka le ab antiM saaqi ho aanewaala haath paras bhoole pyaale ka swaad sura jiWha bhoole kaanoN meiN tum kehti rehna madhuKaNN pyaala madhushaala
mere aDharoN par ho na antiM wastu na tulsi-jal pyaala mere JiWha par ho antiM wastu na ganga-jal haala mere shaV ke peeche chalne-waaloN yaad ise rakhna ram-naam hai satya na kehna kehna sachchi madhushaala
mere shaV par wah roYe ho jiske aaNsoo meiN haala aaH bhare wah jo ho surbhit madeera peekar matwaala de muJhko wo kaandha jinke pad-mad dag-mag hoNte ho aur jalooN uss Thaur jahaN par kabhi rahee ho madhushaala
aur chitha par jaaye unDela paatR na ghRith ka par pyaala GhanT bandhe angoor latha meiN madhya na jal ho par haala praan-priye yadi SHraadH karO tum mera to aise karna peene-waaloN ko bulwa kar khulwa dena madhushaala
naam agar pooche koi to kehna bas peene-waala kaam garal na aur dhaalna sab ke madiroN ka pyaala jaati priYe pooche yadi koi keh dena deewanoN kee dharM batana pyaaloN ki le maala japna madhushaala
pitR paKsh meiN putR uThana araGYan na kar meiN par pyaala baiTh kahiN par jaana ganga sagar meiN bharkar haala kisi jagaH kee miTTi bheege tRipti muJhe mil jaaYegee darpan arpan karna muJhko paDh paDh karke "madhushaala"
Lyrics : Hariwansh Rai Bachhan Music : Jaidev Voices : Hariwansh Rai Bachhan, Manna Dey

This page has been accessed times since 6th january 1997.