Jagjit is a master par excellence in
rendering of a ghazal.
Ghazal needs a special 'Mizaj' for its rendering and
an in-depth understanding of Urdu poetry.
It is during this period and later, that I shared
my poetry with him.
All that looks easy, is not so simple.
It took us more than six years to compile this album,
weaving memories in melody.
Marasim.
- Gulzar
1. haath chooTen bhi tho rishthe nahin choDa karthe waqt ki shaak se lamhein nahin toDa karthe jiski aawaaz meiN silwat ho nigahoN meiN shikan aisi tasvir ke tukDe nahiN joda karthe shahad jeene ka mila karta hai thoDa thoDa jaane waaloN ke liye dil nahin thoDa karthe lagke saahil se jo beHta hai use beHne do aisi dariya ka kabhi rukh nahiN moDa karthe
2. ek puraana mausam lauTa, yaad bhari purvayi bhi aisa to kam hi hotha hai, wo bhi ho tanhaayee bhi yaadon ki bauchaaroN se jab palke bheegne lagti hai kitni soundi lagthi hai tab maanjhi ki ruswaee bhi do do shakleN dikthi haiN is behke se aayine meiN mere saath chala aaya hai aapka ik saudayee bhi khamoshi ka haasil bhi ik lambi si kamoshi hai unki baath suni bhi humne, apni baat sunayi bhi.
3. aankhon mein jal raha hai kyoon, bujtha nahin dhuaaN uThtha tho hai gata sa barastha nahiN dhuaaN choolha nahin jalaye ya basti hi jal gayi kuch roj ho gaye hain abh uThtha nahin dhuaaN aankhoN se ponchne se laga aanch ka patha yoon chehra pher lene se chuptha nahin dhuaaN aankhoN se aansoon ke marasim purane haiN mehmaan ye ghar meiN aayen tho chubtha nahin dhuaaN
4. woh kaaTh ke purze uDa raha tha hawavon ka roop dikha raha tha kuch aur bhi ho gaya numaayaN main apna likha mita raha tha usi ka eemaan badal gaya hai kabhi jo mera khuda raha tha wo ek din ek ajnabi ko meri kahani suna raha tha wo umR kam kar raha tha meri maiN saal apne baDha raha tha
5. shaam se aankh meiN namiN si hai aaj fir aapki kami si hai dafan kar do hameiN ki saans mile nabz kuch der se thami si hai waqt rehtha nahin kahin chupkar iski aadat bhi aadmi si hai koi rishtha nahin raha fir bhi ek tasleem laazmi si hai
6. zindagi yoon huyi basar tanha kaafila saath aur safar tanha apne saaye se chaunk jaate haiN umR guzri hai is kadar tanha raat bar bolthe hain sannaaTe raat kaaTe koi kidhar tanha din guzartha nahin hai logon meiN raat hothi nahin basar tanha humne darwaaze tak tho dekha tha fir na jaane gaye kidhar tanha
7. ek parvaaz dikhayee di hai teri aawaz sunayee de rahi hai jiski aankhon meiN kaTi thi sadiyaaN usne sadiyoN ki judayee di hai sirf ik safha palaT kar usne beeti baaton ki safaayee di hai fir wahiN lauTke jaana hoga yaar ne kaisi rihayee di hai aag ne kya kya jalayaa hai shavpar kitni khushrang dikhayee di hai
8. din kuch aise guzaartha hai koi jaise ahamsa utaartha hai koi aayina dekhkar tasalli huyi humko is ghar main jaantha hai koi pak gaya hai shejar pe fal shaayad fir se patthar uchaaltha hai koi der se goonjthe hain sannaaTe jaise humko pukaartha hai koi
Lyrics : Gulzar Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh
This page has been accessed times since 17th July '99.