Rishton mein daraar aayee



1.   rishtoN mein darar aaye 
     bete na rahe bete
     bhai na rahe bhai 
     rishtoN mein darar aaye 
                                       
     parkha hai lahu apna, bharata hai zamane ko
     tufano mein koi bhi, aaya na bachane ko
     sahil pe nazar aayee 
     kitane hi tamasai 
                                      
     DhoonDane se nahi milta, raahat ka jahan koi
     TooTe huwe damo ko, le jaye kahaN koi
     har moD pe hoti hai 
     ehsaas ki rusvaai 
                                      
     zakhmoN se khili kaliyaN, ashkoN se khili shabnam
     patthar ke daricHe se, aaya hai naya mausam
     raaton ki siyali se 
     li subho ne angadai



2. fir se mausam baharoN ka aane ko hai fir se rangiN zamana badal jaayega abki bazme charaagoN saja lenge hum ye bhi armaan dil ka nikal jaayega aap karde jo muJhko nigaahe karam meri ulfat ka reh jaayega kuch bharam yuN fasana to mera rahega yahi sirF unwaan uska badal jaayega fiki fiki see kyoon shaam-e-maikhanaa hai lutf saaqi bhi kam khaali paimaana hai apnee nazroN se hee kuch pila de jiye rang mehfil ka khud hee badal jaayega mere miTne ka unkO zara gam nahiN julF bhi unki ae dosth war ham nahiN apne hone na hone se hotha hai kya kaam duniya ka yun hee to chal jaayega aapne dil jo 'zaahid' ka toDa to kya aapne uski duniya ko choDa to kya aap itne to aakHir pareshaaN na hoN wo sambhalte sambhalte sambhal jaayega
3. kuchh na kuchh to zaroor hona hai saamna aaj unsay hona hai todo fainko rakho karo kuch bhi dil hamara hai kya khilona hai zindagi aur maut ka matlab tumko paana hai tumko khona hai ttna darna bhi kya hai duniya say jo bhi hona hai woh to hona hai uth kay mehfil say mat chalay jaana tumsay roshan yeh kona kona hai
4. kabhi kabhi yun bhi humne apne jee ko behlaaya hai jin baatoN ko khud nahiN samjhe auroN ko samjhaaya hai humse poochO izzatwaaloN kee izzat ka haal yahaN humne bhi is shehar meiN rehkar thoDa naam kamaya hai us'se bichchDe barsoN beete lekin aaj na jaane kyoon aangan meiN haste bachchoN ko bekaaroN dhamkaaya hai koi mila tho haath milaaya kahiN gaye to baate kee ghar se baahar jab bhi nikle din bhar boJh uThaya hai
5. dard-e-dil meiN kamee na ho jaaye dosthi dushmani na ho jaaye tum meri dosthi ka dam na bharo aasmaaN muddayee na ho jaaye baiThata hoon hamesha rindoN meiN kahiN zaahid wali na ho jaaye apne khooye wafa se Darta hoon aashiqi bandagi na ho jaaye
6. koi dosth hai na raqeeb hai tera sehar kitnaa ajeeb hai wo jo ishq thaa wo junoon thaa ye jo hiZr hai ye naseeb hai yahaN kiska chehra paDha karooN yahaN kaun itnaa kareeb hai maiN kise kahooN mere saath chal yahan sab ke sar pe saleeb hai
7. sar jhUkaaoge to patthar dewta ho jaayega itna math chaaho use' wo bewafa ho jaayega hum bhi dariya haiN hameN apnaa hunar maaloom hai jis taraF bhi chal paDenge raasta ho jaayega maiN khuda ka naam lekar pee raha hoon dostoN zehar bhi isme agar hoga dawa ho jaayega ruTh jaana to mohabbat ki alamat hai magar kya khabar thee muJhse wo itna khafa ho jaayega
8. kaun aayega yahan koi na aaya hoga mera darwaaza hawaaoN ne hilaaya hoga dil-e-naadaaN na dhaDak ae dil-e-naadaaN na dhaDak koi khat leke paDosi ke ghar aaya hoga gul se lipTi huyee titli ko girakar dekho aandhiyoN tumne daraftoN ko giraaya hoga 'kaif' pardesh meiN math yaad karo apna makaaN abke baarish ne use toD giraaya hoga
Lyrics : Naqsh Lyallpuri (1) Zahid (2) wajida Tabassum (3) Nida Fazli (4) Bekhud Dehlvi (5) Rana sahri (6) Bashir Badr (7) Kaif Bhopali (8) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh

This page has been accessed times since 24th April 1997.