Silsilay



1.   maiN bhool jaaoon tumhe, ab yahi munaasib hai
     magar bhoolna bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
     ke tum to fir bhi haqikat ho koi khwaab nahiN
     yahan to dil ka ye aalam hai kyaa kahoon 'kambakht'
     bhula saka na ye wo silsila jo thaa hi nahiN
     wo ik khyaal jo awaaz tak gaya hi nahin
     wo ek baat jo maiN keh nahiN saka tumse
     wo ek rawt jo hum meiN kabhi raha hi nahiN
     muJhe hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahiN
     agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye
     tumhe bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
     ke tum to fir bhi hakikat ho koi khwaab nahiN


2. mere dil ne kaha, ae diwaane bata jab se koi mila, tu hai khoya huwa, ye kahani hai kya, hai ye kyaa silsila, ae diwaane bata maine dil se kaha, ae diwaane bata dhaDkane meiN chupi, kaisi awaz hai kaisa ye geet hai kaisa ye saaz hai, kaisi ye baat hai, kaisa ye raaza hai, ae diwaane bata mere dil ne kaha , jab se koi mila chaand taare fizaaN, phool bhaNwaare hawa ye haNsi waadiyaaN, neela ye aasmaaN sab hai jaise naya, mere dil ne kaha maine dil se kaha, muJhko ye to bata, jo hai tuJhko mila, usme kyaa baat hai kya hai jaadoogari, kaun hai wo pari, ae diwaane bata na wo koi pari, na koi mehJabiN na wo duniya meiN sabse hai zyaada haseeN, bholibhaali si hai, seedhi saadhi si hai, lekin usme adaa ek niraali si hai uske bin mera jeena hi bekaar hai, maine dil se kaha, baat itni si hai, ki tuJhe pyuaar hai mere dil ne kaha muJhko ikraar hai, haaN muJhe pyaar hai.
3. jaate jaate wo muJhe achchhi nishaani de gaya uMr bhar dohraoonga aisi kahaani de gaya uss se maiN kuch paa sakooN aisi kahan ummeed thi gham bhi shaayad wo baraaye meharbaani de gaya sab hawaaeN le gaya mere samander ki koi aur muJhko ek kashti baadbaani de gaya khaiR maiN pyaasa raha, par usne itna to kiya mere palkoN ki kataroN ko wo paani de gaya
4. dard apnaata hai paraaye kaun kaun sunta hai aur sunaaye kaun kaun dohraaye puraani bateN gham abhi soya hai jagaaye kaun wo jo apne haiN, kya wo apne haiN aur dukh Jhele, aazmaaYeN kaun ab sukooN hai to bhoolne meiN hai lekin us shaksh ko bhulaaye kaun aaj fir dil hai kuch udaas-udaas dekhiye aaj yaad aaye kaun
5. muJhko yakeeN hai sach kehti thi jo bhi ammi kehti thi jab mere bachpan ke dine the, chaand meiN pariyaan rehti thee ek ye din jab apnoN ne bhi humse jnaata toD liya ek wo din jab ped ki shaakheN boJh hamara sehti thee ek ye din jab saari saDkeN ruThi ruThi lagti haiN ek wo din jab aaO khele saari galiyaN kehti thee ek ye din jab jaagi raateN diwaaroN ko takti hain ek wo din jab shaamoN ko bhi palkeN boJhal rehti thee ek ye din jab laakhoN gham aur kaal pada hai aaNsoon ka ek wo din jab ek zara sa baat pe nadiyaaN behti thee
6. sach ye hai bekaar meiN gham hota hai jo chaaha tha duniya meiN kam hota hai Dhalta suraj faila jangal rasta gum humse puchO kaisa aalam hota hai gairOn ko kab fursat hai dukh dene ki jab hota hai koi hamdum hota hai zakhm to humne in aankhoN se dekheN haiN logoN se sunte haiN marham hota hai zehan ki shaakhoN par ashaar aa jaateN haiN jab teri yaadOn ka mausam hota hai
7. dard ke phool bhi bikhar jaate haiN zakhma kaise bhi ho bhar jaate haiN jab dareeche meiN bhi ab koi nahin aur hum bhi sar jhukaaye huye chupchaap guzar jaateN hain raasta roke khaDi hai yahi ulJhan kabse koi pooche to keheN kya ki kidhar jaate haiN naram awaaz, bhali baateN muhazzaB lehze pehli barish meiN hi ye rang utar jaate haiN
8. dariya ka saahil ho, poore chaand ki raat ho aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho pariyoN ki mehfil ho, koi tumhari baat ho aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho ye naram mulaayam thanDi hawaayeN, jab ghar se tumhaare guzre tumhari khushboo churaayeN, mere ghar le aayen, kabhi yooN bhi to ho sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho aur tum aaO, kabhi yooN bhi to ho ye baadal aise TooT ke barse, mere dil ki tarah milne ko, tumhara dil bhi tarse, tum niklo ghar se, kabhi yooN bhi to ho tanhaai ho dil do, boonde hoN barsaat ho aur tum aaO.
Lyrics : Javed Akhtar Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh

This page has been accessed times since 6th December 1999.