Soz (Pathos)



1.   tamanna fir machal jaaye agar tum milne aa jaaO
     ye mausam hi badal jaaye agar tum milne aa jaaO

     muJhe gham hai ke maine zindagi mein kuch nahiN paaya
     ye gHam dil se nikal jaaye agar tum milne aa jaaO

     nahiN milte ho muJhse tum to sab humDard haiN mere
     zamana muJhse jal jaaye agar tum milne aa jaaO

     ye duniya bhar ke jHagDe ghar ke kisse kaam ki baateN
     bala har ek Tal jaaye agar tum milne aa jaaO



2. aap bhi aayiye humko bhi bulaate rahiye dosthi zurm nahiN dosth banaate rahiye zaHer pee jaaiye aur baaNTiye amRit sabko zaKHm bhi khaaiye aur geet bhi gaate rahiye waQt ne loot lee logoN ki tammannayeN bhi khwaab jo dekhiye aurOn ko dikhaate rahiye sHakL tho aapke bhi zahen meiN hogi koi kabhi ban jaayegi tasveer banaate rahiye
3. ab agar aaO tho jaane ke liye math aana shiRf eHsaan jataane ke liye math aana meaine palkoN pe tammannnayeN saza rakhi hai dil meiN ummeed ki sau shammeN jala rakhi hai ye hasiN shammeN buJhane ke liye math aana pyaar ki aag meiN zanzeereN pighal sakti hai chaahne waaloN ki takdeereN badal sakti hai tum ho bebas ye bataane ke liye math aana ab tum aana jo tumhe muJhse mohabbat hai koi muJhse milne ki agar tumko bhi chaahat hai koi tum koi rasM nibhaane ke liye math aana
4. shaam hone ko hai laal suraj samandar meiN khone ko hai aur uske pare kuch parinde kataare banaaye unhi jungaloN ko chale, jinke pedOn ki shaakhon pe hai ghosle ye pariNde wahiN laut kar jaayenge, aur so jaayenge hum hi hairan haiN, in makaanoN ke jungle meiN apna koi bhi thikaana nahin shaam hone ko hai hum kahan jaayenge
5. aaj maine apna fir sauda kiya aur fir maiN door se dekha kiya zindagi bhar mere kaam aayen oosool ek ek karke unhe becha kiya kuch kamiN apni wafaaoN meiN bhi thi tum se kya kehte ki tumNe kya kiya ho gayi thi dil ko kuch ummeed si khair tumne jo kiya achcha kiya.
6. kyooN dareN zindagi meiN kya hoga kuch na hoga tho tazurBa hoga haNsti aankhoN meiN jhaaNk kar dekho koi aaNsoo kahin chupa hoga in dinoN na ummeed sa hooN maiN shaayad usne bhi ye suna hoga dekhkar tumko sochta hooN maiN kya kisi ne tumheN chua hoga
7. pyaas ki kaise laaye taaB koi nahiN dariya tho ho saraab koi raat bazthi thi dooor shehnaaee roya peekar bahut sHaraaB koi kaun sa zaKhm kisne baksha hai uska rakhe koi hisaab koi fir main sunane laga hooN is dil ki aane waala hai fir aJaaB koi
8. ik pal ghamoN ka dariya, ik pal khushi ka dariya rukta nahin kabhi bhi, ye zindagi ka dariya aaNkheN thi wo kisi ki, ya khwaab ke zanzeereN awaaZ thi kisi ki ya raaGini ka dariya is dil ki waadiyoN mein ab khaak uD rahi hai behta yahiN tha pehle ek aasHiqi ka dariya kiRene mein hai ye lehreN ya lehroN meiN hai kiReNe dariya ki chanDni hai yaa chanDni ka dariya
9. tum baiThe ho lekin jaate dekh raha hooN maiN tanhaayi ke din aate dekh raha hooN aane waaale lamHe se dil sehma hai tumko bhi darte ghabraate dekh raha hooN kab yaadoN ka zakhM bhare kab daag miTe kitne din lagte hain bhulaate dekh raha hooN uski aankhoN mein bhi kaajal faila hai main bhi muDke jaate jaate dekh raha hooN
Lyrics : Javed Akhtar Music : Jagjit Singh

Back

This page has been accessed times since 10 September 2003.