The Unforgettables




1.   baat nikalegee to phir duur talak jaayegee
     log bewajaH udaasee kaa sabab poochhenge
     ye bhee poochhenge ke tum itnee pareshaaN kyooN ho
     oongliyaaN uTheNgee sookhe huye baaloN kee taraf
     ek nazar dekheNge guzre huye saaloN kee taraf
     chooDiyoN par bhee kaI taNz kiye jaayeNge
     kaaNpate haathoN pe bhee fikRe kase jaayeNge

     log zaalim haiN har ek baat kaa taanaa deNge
     baatoN baatoN meiN meraa zikR bhee le aayenge
     unakee baatoN kaa zaraa saa bhee asar mat lenaa
     waRnaa chehre ke taasur se samaJh jaayeNge
     chaahe kuchh bhI ho sawaalaat naa karnaa unse
     mere baare meiN koI baat na karnaa unse
     baat nikalegii to phir door talak jaayegee


2. raat bhi neend bhi kahaani bhee haaye kya cheez hai jawaani bhee dil ke sholoN se paDti hai sehra zindagi aag bhee hai paani bhee khaRk kya kya muJhe nahiN kehti kuch sunooN maiN teri zubaani bhee paas rehna kisi ka raat ki raat mehmaani bhee mezbaani bhee
3. sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista
4. ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye subaH hone ko hai maahOl sajaaye rakhiye jinke haathoN se hume zakm-e-neha pahunchi hai wo bhee kehte hain ke zakhmoN ko chupaaye rakhiye kaun jaane ke wo kis raah-guzar se guzre har guzar raah ko phooloN se sajaaye rakhiye daaman-e-yaar ki zeenat na bane har ansoo apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye
5. bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai tuJhe ae zindagi hum door se pehchaan letey haiN tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raatoN meiN hum aise meiN teri yaadoN ki chaadar taaN lete haiN meri nazreN to aise qaafiroN ka jaan-o-imaaN hai nigaaheN milte hi jo jaam aur imaan lete haiN 'firaq' aksar badal kar bhesh milta hai koi qaaTil kabhi hum jaan lete hiaN kabhi pehchaan lete haiN
6. dard badhkar fughan na ho jaaye ye zameeN aasmaaN na ho jaaye dil meiN dooba hua jo nashtar hai mere dil ki zubaaN na ho jaaye dil ko le leejiye jo lena hai fir ye sauda garaN na ho jaaye aah kije magar latif tabhi lab tak aakar dhuaaN na ho jaaye
7. gham badhe aate hai qaatil ki nigahon ki tarah tum chupa lo muJhe ae dosth gunaahoN ki tarah apni nazaroN meiN gunehgaar na hote kyooNkar dil hi dushman hai mukhaliF ke gawaahoN ki tarah har taraf zeest ki raahoN meiN kaDi dhoop hai dosth bas teri yaad ke saaye haiN panaahoN ki tarah jinke khaatir kabhi ilzaam uthaaye 'faakir' wo bhee pesh aaye haiN insaaF se shaahoN ki tarah
8. kisi ranjish ko hawa do ke maiN zinda hooN abhi muJhko ehsaas dila do ke maiN zinda hooN abhi mere rukne se meri saaNse bhi ruk jaayengi faasile aur baDha do ke maiN zinda hooN abhi zehar peene ki to aadat thi zamaane waaloN ab koi aur dawa do ke maiN zinda hooN abhi chalti raahoN meiN yooNhi aaNkh lagi hai 'faakir' bheeD logoN ki hata do ke maiN zinda hooN abhi
9. dost ban-banke mile muJhko mitaane waale maine dekhe haiN kaI rang badalane waale tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale
10. aaye haiN samjhaane log haiN kitne deewane log dair-o-haram meiN chain jo miltha kyoN jaathe maikhaane log jaan ke sab kuch, kuch bhi na jaane haiN kitne anjaane log waqt pe kaam nahiN aathe haiN ye jaane pehchaane log ab jab mujh ko hosh nahiN haiN aaye haiN samjhaane log
Lyrics : kafeel Aazer (1) Firak Gorakhpuri (2,5) Ameer Meenai (3) Taariq Badayani (4) Jigar Moradabadi (6) Sudarshan Fakir (7,8) Saeed Rahi (9) Kunwar Mahendra Singh(10) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh Chitra Singh

This page has been accessed times since 24th April 1997.