Visions


Volume I

1.   Jhoom ke jab rindO ne pilaa dee
     sheikh ne chupke chupke dua dee

     ek kamee thee taj mahal meiN
     humne teri tasveer laga dee

     aapne jhooTa waada karke
     aaj hamaRi umr baDha dee

     teri galee meiN sazde karke
     humne ibaadat-gaah bana dee



2. nazar nazar se milakaR sharaab peete haiN hum unko paas biThakar sharaab peete haiN isi liye to andhera hai maikade meiN bahut yahan gharoN ko jalaakar sharaab peete haiN hume tumhare siwa kuch nazar nahiN aata tumhe nazar meiN sazakar sharaab peete haiN unHi ke his'se meiN aati hai pyaas hi aksar jo doosroN ko pilaakar sharaab peete haiN
3. ye peene waale bahut hi ajeeb hote haiN jahaN se door ye khud ke kareeb hote haiN kisi ko pyaar mile aur kisi ko ruswaayee mohabbatoN ke safar bhi ajeeb hote haiN mila kisi ko hai kya sochiye ameeree se diloN ke shaah to aksar gareeb hote haiN yahaN ke logoN ki hai khaasiyat ye sabse baDi habeeb lagte hain lekiN raqeeb hote haiN
4. kisne bheege huye baaloN se ye jHaTka paani jhooM ke aayi ghaTa TooT ke barsa paani koi matwaali ghaTa peeke jawaani ki umang jee baha le gaya barsaat ka pehla paani TikTiki baandhe wo firte haiN maiN is fidR meiN hooN kahiN khaane lage chakkar na ye gehra paani baat karne mein wo un aankhoN se amrit tapka aarzoo dekhte hee mooh meiN bhar aaya paani
5. kabhi kabhi yun bhi humne apne jee ko behlaaya hai jin baatoN ko khud nahiN samjhe auroN ko samjhaaya hai humse poochO izzatwaaloN kee izzat ka haal yahaN humne bhi is shehar meiN rehkar thoDa naam kamaya hai us'se bichchDe barsoN beete lekin aaj na jaane kyoon aangan meiN haste bachchoN ko bekaaroN dhamkaaya hai koi mila tho haath milaaya kahiN gaye to baate kee ghar se baahar jab bhi nikle din bhar boJh uThaya hai
6. tere nisaar saqiya jitni piyoo pilaaye jaa mast nazar ka waasta mast muJhe banaaye jaa tuJhko kisi se marz kya bijli kahiN giraaye jaa dil jale ya zigar jale tu yun hi mushkuraaye jaa saamne mere aa ke dekh rookh se naqaab haTa ke dekh khilman-e-dil hai muntazir barKe nazar giraaye jaa wafa-e-badnaseeb ko baksha hai tune dard jo hai koi iski bhi dawa itna zara bataaye jaa
7. na keh saaqi bahaar aane ke din haiN zigar ke daaG chil jaane ke din haiN ada see khooB adaa aane ke din haiN abHi to door sharmaane ke din haiN garebaaN DhoonDte hain haath mere chaman meiN phool khil jaane ke din haiN tumhe raaz-e-mohabbat kya bataayeN tumhare khelne khaane ke din haiN ghaTaayeN oondi oondi keh rahi hai maye angoor khichwaane ke din haiN
8. dard-e-dil meiN kamee na ho jaaye dosthi dushmani na ho jaaye tum meri dosthi ka dam na bharo aasmaaN muddayee na ho jaaye baiThata hoon hamesha rindoN meiN kahiN zaahid wali na ho jaaye apne khooye wafa se Darta hoon aashiqi bandagi na ho jaaye
Volume II
9. kaun aaya raaste aa'ina khaana ho gaye raat roshan ho gayee din bhi suhaane ho gaye ye bhi mumkin hai ke us'ne muJhko pehchaana na ho ab us'e dekhe huye kitne jamaane ho gaye jaao un kamroN ke aa'ine uthakar phenK do wae agar ye keh raheN ho hum puraane ho gaye meri palkoN par ye aaNsoo pyaar ki tauheen hai unki aaNkhoN se gire moti ke daane ho gaye
10. aap aaye janaab barsoN meiN humne pee hai sharaaB barsoN meiN phir se dil kee kali khilee apni phir se dekha sabaaB barsoN meiN tum kahaN the' kahaN rahe saahiB aaj hoga hisaaB barsoN meiN pehle naadaaN the' ab huye daaNa unko aaya adaaB barsoN meiN isi um'meed pe' maiN zinda hooN kya wo denge jawaaB barsoN meiN
11. aapko dekhkar dekhta reh gaya kya kahooN aur kehne ko kya reh gaya unkee aaNkhoN meiN kaise chalakne laga mere hoNThoN pe jo maajra reh gaya aise bichDe sabhi raah ke moD par aakhri hum-safar raasta reh gaya soch kar aaO kuye tamanna hai ye jaaneman jo yahaN reh gaya reh gaya
12. koi dosth hai na raqeeb hai tera sehar kitnaa ajeeb hai wo jo ishq thaa wo junoon thaa ye jo hiZr hai ye naseeb hai yahaN kiska chehra paDha karooN yahaN kaun itnaa kareeb hai maiN kise kahooN mere saath chal yahan sab ke sar pe saleeb hai
13. fir se mausam baharoN ka aane ko hai fir se rangiN zamana badal jaayega abki bazme charaagoN saja lenge hum ye bhi armaan dil ka nikal jaayega aap karde jo muJhko nigaahe karam meri ulfat ka reh jaayega kuch bharam yuN fasana to mera rahega yahi sirF unwaan uska badal jaayega fiki fiki see kyoon shaam-e-maikhanaa hai lutf saaqi bhi kam khaali paimaana hai apnee nazroN se hee kuch pila de jiye rang mehfil ka khud hee badal jaayega mere miTne ka unkO zara gam nahiN julF bhi unki ae dosth war ham nahiN apne hone na hone se hotha hai kya kaam duniya ka yun hee to chal jaayega aapne dil jo 'zaahid' ka toDa to kya aapne uski duniya ko choDa to kya aap itne to aakHir pareshaaN na hoN wo sambhalte sambhalte sambhal jaayega
14. kuchh na kuchh to zaroor hona hai saamna aaj unsay hona hai todo fainko rakho karo kuch bhi dil hamara hai kya khilona hai zindagi aur maut ka matlab tumko paana hai tumko khona hai ttna darna bhi kya hai duniya say jo bhi hona hai woh to hona hai uth kay mehfil say mat chalay jaana tumsay roshan yeh kona kona hai
15. sar jhUkaaoge to patthar dewta ho jaayega itna math chaaho use' wo bewafa ho jaayega hum bhi dariya haiN hameN apnaa hunar maaloom hai jis taraF bhi chal paDenge raasta ho jaayega maiN khuda ka naam lekar pee raha hoon dostoN zehar bhi isme agar hoga dawa ho jaayega ruTh jaana to mohabbat ki alamat hai magar kya khabar thee muJhse wo itna khafa ho jaayega
16. har gosha gulistaN tha kal raat jahaN maiN tha ek jasn-e-baharaN tha kal raat jahaN maiN tha nagmeN the' hawaoN meiN jaadoo tha fizaaoN meiN har saaNs ghazalfaaN tha kal raat jahan maiN tha dariya-e-mohabbat meiN kasthi thee jawaani kee jazbaat ka toofaaN tha kal raat jahan maiN tha mahtaab tha baahoN meiN jalwe the nigaahoN meiN har sint charaagaN tha kal raat jahan maiN tha
Lyrics : Kaif bhupali (1) Tasneem faaruqi (2) Rakesh (3) Aarzoo Lakhnawi (4) Nida Fazli (5) Rustam sehgal wafa (6,10) Bekhud Dehlvi (7, 8) Bashir Badr (9,15) Aziz Qaisi (11) Rana sahri (12) Zahid (13) Wazida Tabassum (14) Khalid kuwaiti (16) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh

This page has been accessed times since 6th January 1997.