H O P E

Introduction


     H O P E
     What the whole world lives on.  An integral part of
     our insatiable existence.

     Just as the  unforgettable  ghazals  of Jagjit and 
     Chitra Singh have become.

     JAGJIT AND CHITRA SING.
     ACCOLADES, TITLES, AWARDS  matter much less to this
     redoubtable duo. Today, their hope now, is to, each
     time, create an  ablubm  better than their previous 
     one; to  transcend  the  heights  they have already
     conquered.

     'Someone Somewhere' their most  recent  album,  was
     dedicated to  memory of their  beloved son,  Vivek,
     the  biggest  HOPE  of their lives. 'HOPE' is being 
     released  on Vivek's birth  anniversary  20 August;
     a testimony to  his  parents'  perennial  quest  of 
     bringing  happiness into the lives of music lovers.

     Is the  GHAZAL  wave  really on an ebb?  With  this 
     album,  Jagjit and  Chitra Singh, the  pioneers  of
     the Ghazal wave,  keep the  HOPE  in  Ghazal lovers
     alive.  As long  as they  continue to regale  their
     fans, Ghazals will endure. Human life is transient,
     but  Jagjit  and  Chitra's  Ghazals  have  achieved
     immortality.  Each  new  collection of Ghazals will
     be eagerly  awaited, with the same  enthusiasm, the
     same sentiment.

     H O P E 



1. khudaa humKo aisee khudaayee na de ke apNe siWa kuchch dikhaayee na de khataWaar samjhegee duniyaaN tujhe ke itnee ziyaada safaayee na de haNso aaj itnaa ke is shoR meiN sada siskiyoN ki sunaaYee na de abhi to badan meiN lahoo hai bahot kalam cheen le roshnaayee na de kHuda aise ehsaas ka naaM hai rahe saamNe aur dikhaYee na de
2. ab khushi hai na koi Gam rulaaNe-waaLa humNe apna liya har ranG zamaane-waaLa usko ruKhsat to kiYa tha mujhe maloom na tha saara Ghar le gaya, ghar chod ke jaane-waaLa ik musaFiR ke safaR jaisi hai sabki duniyaN koi jalDi meiN koi de'r se jaane-waaLa ek be-chehRa see ummid hai chehra-chehra jis taraF dekhiYe aane ko hai aane-waaLa
3. dekHa jo aa'inah to muJhe sochna paDa khuD se na mil saka to muJhe sochna paDa uska jo kHat mila to muJhe sochna paDa apna sa wo laGa to muJhe sochna paDa muJhko tha gumaaN ke muhhi-meiN hai ek waNa deKha teri aNaa to muJhe sochna paDa duniYa samaJh rahee thee ke naraaz muJhse hai lekiN wo jab mila to muJhe sochna paDa ik din wo mere aiB giNaane laga kaRaar jab khud hi thak gaya to muJhe sochna pada
4. na sHiwaale, na qalisa, na haRam jhooTe haiN bas yaHi sach hai ke tum jhoote ho hum jhooTe haiN humne deKha hee nahi bolte unko ab taq kaun kehta hai ke paThar ke sanam jhooTe haiN unse miliye to khushi hoti hai unse milkar sehar ke doosre logoN se jo kam jhooTe haiN kucH to hai baat jo teHriroN meiN taasir nahiN jhooTe Fanqaar nahiN haiN to qalam jhooTe haiN
5. dhooP hai kya aur saaYa kya hai ab maLoom hua ye sab khel tamasha kya hai ba maLoom hua hanSte phool ka chehRa dekhooN aur bhaR aayi aanKh apNe saath ye kissa kya hai ab maLoom hua hum barsoN ke baad bhi unKo ab taq bHool na paaye dil se unka rishtaa kya hai ab maLoom hua sehra sehra pyaase bhaTke saari umR jale baadal ka ik TukDa kya hai ab maLoom hua
6. kya khabaR thee is taraH se wo juDa ho jaaYega khwaab meiN bhi uska milNa khwaab sa ho jaaYega zindaGi thee qaid hum'me kya nikaaLoge use maut jab aa jaaYegi to khud rihaa ho jaaYega dosTh bankar usKo chaaha Ye kabHi socha na tha dosThi hee dosThi meiN wo khuDaa ho jaaYega uska jalWa hoGa kya jiska ke parda noor hai jo bHI usko deKh lega wo fidaa ho jaaYega
7. taNha taNha hum ro lenge mehFil mehFil gaaYenge jaB taq aansoo saath rahenge taB taq geet sunaaYenge tum jo soncho wo tum jaano hum to apni kehte haiN der na karna Ghar jaane meiN warna ghar kho jaaYenge bachchoN ke choTe haathon ko chaanD sitaareN chooNe do chaar kitaaBe paDh kar wo bHi hum jaise ho jaaYenge kin raahoN se door hai manzil kauN sa rasta aasaaN hai hum jab thal kar ruk jaaYenge, auroN ko samJhaayenge achchee soorat waale saare patthar dil hoN mumkin hai hum to uss din raaYeN deNge jis din dhoKha khaaYenge
8. aise hiJr ke mausam tab tab aate haiN teRe alaawa Yaad hame sab aate haiN jaadu ki aaNkhoN se bhi dekho duniya ko khwaaboN ka kya hai wo har sab aate haiN ab ke saFar ki baaT nahin baaqi waRna hum ko bulaaYen dasth se jab wo aate haiN kaaGaz ki kasthi meiN dariya paar kiya dekho hum ko kya kya kartaB aate haiN
Lyrics : Bashir Badr (1) Nida Fazli (2 and 7) Faragh Roohvi (3) Ayaz Jhansvi (4) Zafar Gorakhpuri (5) Rustom Sehgal Wafa (6) Shahryar (8) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh Chitra Singh

This page has been accessed times since 6th january 1997.