Kahkashan


Volume I


1.  hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN
    guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum


2. tuJhse ruksat ki wo shaam-e-ashq afsaaN hai-hai wo udaasi wo fizaayeN giriya-saame haai-haai yaaN kafe ka chuum lene ki bhi jee se aarzoo waaN bagal giri ka sharmaaya sa armaaN haai-haai wo mere hoTon pe kuch kehne ki hasrat waaye shaam wo teri aankhoN meiN sun-ne ka armaaN haaye-haaye
3. toDkar ahde karam naashnaa ho jaaieye banda parwar jaaiye , achha khafa ho jaaiye raah meiN miliye kabhi mujhse to azraahe sitam hoNt apne kaat kar fauran juda ho jaaiye jee meiN aata hai ke us shokhe tagaful kesh se ab na miliye fir kabhi aur bewafa ho jaaiye hai ri be-ikhtiyari ye to sab kuch ho magar us sarapa naaz se kyoonkar khafa ho jaaiye
4. chupke chupke raat din aaNsooN bahana yaad hai humko ab tak aashiqi ka wo zamaana yaad hai tuJh se kuch hi milte hi wo be-baak ho jaana mera aur tera daanton meiN wo ungli dabaana yaad hai kheench lena wo mera parde ka kona daf-fatan aur dupatte se tera wo muh chupaana yaad hai do paher ke dhoop meiN, mere bulaane ke liye wo tera kothe pe nange paaOn aana yaad hai
5. nazar wo hai ke jo kauno makan ke paar ho jaaye magar jab ruh-e-taabaN par pade bekaar ho jaaye nazar us huSn par thahre to aakhir kis tarah thahre kabhi jo phool ban jaaye kabhi rukhsaar ho jaaye chala jaata hoon hansta kehlta mauj-e-hawadish se agar aasaaniyan ho zindagi dushwaar ho jaaye
6. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum
7. ab to uTh sakta nahiN aankhoN se maare intezaar kis tarah kaaTe koi lay-lo-nahaare intezaar unki ulfat ka yakeeN ho unke aane ki ummeed honge dono suraten tab haiN bahar-e-intezaar meri aaHen na-rasam meri duaayen na-qubool ya-ilaahi kya karooN maiN sharm sa re intezaar unke khat ki aarzoo hai unke aamad ka khayaal kis kadar faila hua kaarwaaN re intezaar
8. shaayar-e-fitrat hoon, jab fikr farmaata hooN maiN rooh bankar zarre zarre mein shama jaata hooN maiN aake tuJh bin is tarah ae' dosth ghabraata hoon main jai har shay meiN kisi shay ki kami paata hooN maiN teri mehfil tere jalwe fir takaza kya suroor le uTha jaata hooN zaalim le chala jaata hooN maiN haay-ri mazbooriyaN karke mohabbat ke liye muJhko samJhaate hain wo aur unko samJhaate hoon maiN ek dil hai aur toofaan-e-hawadis-e-zigar ek sheesha hai ke har patthar se takraata hoon maiN
9. roshan jamal-e-yaar se hai anjuman tamaam dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamaam allah re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud ranginiyoN meiN doob gaya pairaahan tamaam dekho to chasm-e-yaar ki jaadoo nighaayeN behosh ik nazar meiN huyee anjuman tamaam
10. bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN kahkashaan hai meri sumran shaam ki surkhi mera kundan noor ka taDka meri chilman toD chuka hooN saare bandhan poorab pachham uttar dakkhhan bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN mere tan meiN gulshan sabke mere man meiN joban sabke mere ghaT meiN saachan sabke meri surat darshan sabke sabki surat mera darshan bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN sabki jholi meri jholi sabki Toli meri Toli sabki holi meri holi sabki boli meri boli sabka jeewan mera jeewan bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN sabke kaajal mere paare sabki aankhen mere taare sabki saanse meri dhaare saare insaan mere pyaare saari dharti mera aangan bol ik_taare jhaN jhaN jhaN jhaN
11. bangal ki maiN shaam-o-shahar dekh raha hooN har chand ke hooN door magar dekh raha hoon iflaas ki maari hui makhlookh sare raah be-goro kafan khaak basar dekh raha hoon insaan ke hote huye insaan ka ye hashR dekha nahiN jaata hai magar dekh raha hooN rehmat ka chamakNe ko hai fir nayare taabaN hone ko hai is shab ki sahar dekh raha hooN
12. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum
13. kis ko aati hai masihaayee kise aawaaz dooN bol ae' khooNkhaar tanhaayee kise aawaaz dooN chup rahooN to har nafaS Dasta hai naaGaN ki taraH aaH bharNe meiN hai ruswaayee kise awaaz dooN oof khamoshi ki ye aaheN dil ko barmaati huyee oof ye sannaaTe ki shehnaayee kise awaaz dooN
14. agar na zohro-jabeenoN ke darmayaN guZre to fir ye kaise kaTe zindagi kahaN guzre muJhe ye waheM raha muddataoN ke zurrate saur kahiN na khaatir-e-maasooM par gaRaaN guzre khata muaaf zamaane se badguma hokar teri wafa pe bhi kya kya hame' guma guzre muJhe tha shiKwa-e-hiJraaN ke ye hua mehSooS mere kareeb se hokar wo naagahaaN guzre
15. kya hinD ka zinda kaaNp raaha hai kya goonz rahi hai taqbeereN uktaaye haiN shaayad kuch qaidi aur toD raheN haiN zanzeereN deewaaroN ke neeche aa-aakar yuN jama huye hain zindaaNi seenoN mein tala oon biJli ka aakhoN meiN jhalakti shamsheereN kya Unko khabar thee hoThoN par jo Mohre lagaaya karte the ik roZ isi khaamoshi se Tapkegi dhahakTi takreereN samBholke wo zinda gooNz utha JhapTo ke wo qaidi chooT gaye uTTho ke wo baithi deewaaReN DauDo ke wo TooTi zanzeereN
16. tabiyat in diNoN begaana-e-gham hoti jaati hai mere hisse ki goya har khushi kam hoti jaati hai qayamat kya ye aib husn-e-do-aalam hoti jaati hai ke meHfil to wahi hai dilkashi kam hoti jaati hai wahi hai shaahid aur saaqi magar dil buJhta jaata hai wahi hai shamma lekin roshni kam hoti jaati hai wahi hai zindagi lekin zigar ye haal hai apnaa ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai
17. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum
18. muddat mein wo fir taaza mulaakaat ka aalam khaamosh adaaON meiN wo jazbaat ka aalam alaaH re wo siddhat-e-jazbaat ka aalam kuch keh ke wo bhooli huyee har baat ka aalam aariz se Dhalakte huye shabnam ke wo qatre aakhoN se Jhalakta hua barsaat ka aalam wo nazroN hi nazroN meiN sawalaat ki duniya wo aakhoN hi aakhoN meiN jawaabaat ka aalam
19. khayal-e-Ghair ko dil se nikaalO ya_rasool_allaaH sirhad ko apna deewaana bana do ya_rasool_allaaH tajalli toor par jis noor ki moosaame dekhee thee hame bhi ik jhalak uski dikha do ya_rasool_allaaH hussain ib ne ali ke saBr ne jiske maJe looTe hame bhi us bala ka hauslaa do ya_rasool_allaaH
20. ae' watan mere watan rooh-e-rawaani-ehra ae' ke zarroo mein tere boo-e-chanman-rang-e-bahaar rez-e-alwaas ke tere khaso-khaashaaq meiN hai haDDiyaaN apne buzuRgoN ki teri khaak meiN hai tuJhse mooh moDke mooh apna dikhaayenge kahan ghar jo choDenge to fir chaaw nichaayenge kahan bazm-e-agiyaar meiN aaraam ye paayenge kahan tuJhse hum ruThke jaayenge to jaayenge kahan
21. ae' malihaabaad ke rangeeN gulistaaN alwida alwida-e-sar-zameen-e-subahe_khanda alwida alwida-e-kishwareesh-e-ro_shabistaaN alwida alwida-e-jalwa-gaahe husn-e-jaana alwida tere ghar se ek zinda laash uTTh jaane ko hai aa gale milne ke aawaaz-e-jaras aane ko hai haaye kya kya neebate muJko mili thee bebahaar ye khamoshi ye khule maidaan ye dhanDi hawaa waye-e-jaam-aksh bustha haaye ye rangeen fazaN mar ke bhi inko na bhoolega dil-e-dar aashnaa masth koyal jab dagan ki waadiyoN meiN gaayegi ye subuk chaaOn babulON ki bahut yaad aayegi kal se kaun is baag ko rangeeN banaane aayega kaun phoolon ki haseeN par muskuraane aayega kaun is sabze ko sote se jagaane aayega kaun in paudho ko seene se lagaane aayega kaun jaagega kamar ke naazukaane ke liye chaandni raatoN ko zaanoN par sulaane ke liye aam ke baagoN meIn jab barsaat hogi kurkharosh meri furkat meiN lahoo royegi chasm-e-maiN farosh ras ki boonde jab uda degi gulistaan rooh ke hosh unje rangeene pukaareingi hawaye josh josh sun ke mera naam mausam gham zara ho jayega ek mehshar sa gulistaan meiN wafa ho jaayega aa gale mil le khuda-haafiz gulistaan-e-watan ae' amaani ganJ ke maidaan ae' jaan-e-watan alwida ae' laala_zaarO soombulistaan-e-watan as-salam-e-sohbat-e-rangeen-yaaraaN-e-watan hashR tak rahne na dena tum dagan ki khaak meiN daFn karna apne shaayar ko watan ki khaak meiN
22. hum_dum yahin hai, rehguzre yaar khushkhiraN guzre haiN laakh baar isi kahkashaan se hum


Volume II

23. shaher ki raat aur maiN naashad-o-naakara firooN jagmagati jaagti saDkoN pe awwara firoooN ghair ki basthi hai kab tak dar badar mara firooN ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN ye rupahli chaoN meiN aakashh par taaroN ka jaal jaisi sufi ka tasawwur jaise aashiq ka khayaal aah lekin kaun samJhe kaun jaane jee ka haal ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN raat hans hans kar ye kehti hai ke maikhaane meiN chal fir kisi shehnaz-e-lala-rukh ke kaashaane meiN chal ye nahin mumkin to fir ae dosth veeraane meiN chal ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN jee meiN aata hai ye murda chaand taare noch looN is kinaare noch looN aur us kinaare noch looN ek do ka zikR kya saare ke saare noch looN ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN raaste meiN ruk ke dum le looN meri aadat nahiN laut kar waapas chala jaaooN meri fitrat nahiN aur koi humnawa mil jaaye ye kimat nahiN ae gham-e-dil kya karooN ae wahshat-e-dil kya karooN
24. hijaab-e-fitna parwar ab uTha leti to achha thaa khud apne husN ko parda bana leti to achha thaa teri neechi nazar khud teri ismat ki muhafiz hai tu is nashtar ki tezi aazma leti to achha thaa tere maathe ka tika mard kee kismat ka taara hai agar tu saaz ye bedari uTha leti to achha thaa teri maathe pe ye aaNchal bahut hi khoob hai lekin tu is aaNchal se ik barcham bana leti to achha thaa
25. taskeen-e-dil-e-mehzoom na hui wo sayye karam farma bhi gaye is sayye karam ko kya kahiye behla bhi gaye taDpa bhi gaye hum marz-e-wafa bhi kar na sake, kuch keh na sake, kuch sun na sake yaaN humne jaba hi kholi thee waaN aaNkh jhuki sharma bhi gaye is mehfil-e-kaif-o-masthi meiN, is anjuman-e-irfaani meiN sab jaam bakaF baithe hi rahe hum pee bhi gaye chalka bhi gaye
26. dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat mere shaane pe hai us shokh ka sar aaj ki raat nur hee nur hai kis simT uThaooN aankhe husN hee husN hai taahat-e-nazar aaj ki raat nagma-o-mai ka ye toofan-e-tarab kya kehna mera ghar ban gaya khayyam ka ghar aaj ki raat nargis-e-naaz meiN wo neeNd ka halka sa khumaaR wo mere naghma-e-sheri ka asar aaj ki raat
27. ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho maine maana ke tum ik paikar-e-raanaee ho chaman-e-daher meiN rooh-e-chamanarayee ho tallat-e-meher ho firdaus ki barnai ho bint-e-mehtaab ho gardoo se utar aayee ho muJhse milne meiN abandesha-e-ruswaayee hai maine khud apne kiye ki ye saza paayee hai ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho un dino muJpe qayamat ka junooN taari thaa sar pe sarshaari-o-ishrat ka junooN taari thaa maahpaaroN se mohabbat ka junooN taari thaa shehri yaaroN se raqabat ka junooN taari thaa bistar-e-makhmal-o-sanjaab thee duniya meri ek rangeen-o-haseeN khwaab thee duniya meri kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar meri fariyaad-e-jigar doz mera lala-e-zaar shiddhat-e-kard meiN doobi huyee meri guftaar main ke khud apne mazak-e-tarabgee ka shikaar wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahan se laaooN ab meiN wo zazba-e-masoom kahan se laaooN ab mere pass tum aayee ho to kya aayee ho
28. jaane wale sipaahi se poochO wo kahan jaa raha hai kaun dukhiya hai jo gaa rahi hai bhookhe bachhoN ko behla rahi hai laash jalne ki boo aa rahi hai zindagi hai ke chilla rahi hai kitne sehme huye haiN nazaare kaisa dar-dar ke chalte hain taare kya jawaani ka khooN ho raha hai surkH haiN aanchaloN ke kinaare gir raha hai siyaahi ka dera ho raha hai meri jaaN sawera O watan choD kar jaane waale khul gaya inqalabee farera
29. sham-e-gham kuch us nigah-e-naaz ki baateN karo bekhudi badhTi chali hai raaz ki baateN karo ye sukut-e-naaz ye dil ki ragoN ka TooTna khamoshi meiN kuch shikast-e-saaz ki baateN karo kuch kafas ki tiliYoN se chhan raha hai noor saa kuch faza kuch hasrateN parwaaz ki baateN karo nakhateN zulfeN pareshaan daastaaN-e-shaam-e-gham suboH hone tak isi andaaz ki baateN karo
30. ye jo kaul-o-karaara hai kya hai shak hai ya aitbaar hai kya hai ye jo utTha hai dil meiN reh reh kar abR hai yaa guBaar hai kya hai zer-e-lab ik jhalak tabassum ki barq hai ya sharaar hai kya hai koi dil ka makaam samjhaaO ghar hai ya rehguzaar hai kya hai na khula ye ke saamna tera deed hai, intezaar hai kya hai
31. kisi ka yooN to hua kaun umR bhar fir bhi ye husN-o-ishq to dhokha hai sab magar fir bhi hazaar baar zamaana idhar se guzra hai nayee nayee si hai kuch teri reh-guzar fir bhi teri nigaaH se bachNe meiN umR guzri hai utar gaya rag-e-zaam meiN ye neshtar fir bhi
32. ghazal ka saaz utthaO baDi udaas hai raat nawa-e-vee sunao baDi udaas hai raat kahe na tumse to fir aur kisse jaake kaheN siyaah-julf ke saayO baDi udaas hai raat suna hai pehle bhi aise meiN buJH gaye haiN charaag diloN kee khair manaaO baDi udaas hai raat diye rahO tum yuhiN kuch der aur haath meiN haath abhi na paas se jaaO baDi udaas hai raat
33. ab aksar chup chup se rahe haiN yun hi kabu lab khole haiN pehle firaq dekha hota ab to bahut kam boleN haiN din meiN humko dekhne waaloN apne apne haiN aukaad jaaO na tum in khusK aankhoN ko hum raatoN ko role haiN gam ka fasana sunne-waalo aakhir ye shab aaraam karo kal bhi kahani fir cheDenge hum bhi zara ab sole haiN
34. raat bhar deed-e-namnaar meiN lehraate rahe saaNs ki tarha se aap aate rahe jaate rahe khus the hum apne tamaannao ka khwaab aayega apna armaan baraf ganda naqaab aayega aa gayee thee dil-e-muztar meiN shikee-baaye se baz rahee thi mere gham khaane meiN shehnaayee si shab ki jaagi hui taaro ko bhi neend aane lagi aap ke aane ki ik aas thi ab jaane lagi suboh ne sej se uThTe huye li angDaee os saba too bhee jo aayee to akeli aayee
35. ek chameli ke manDwe tale maikade se zara door us moD par do badan do badan do badan pyaar ki aag meiN jal gaye pyar harf-e-wafa pyaar unka khuda pyaar unkee chita do badan do badan do badan pyaar ki aag meiN jal gaye humne dekha unheN din meiN aur raat meiN noor-o-zulmaat meiN do badan, do badan do badan pyaar ki aag meiN jal gaye masjiDoN ke munaaroN ne dekha unhe mandiroN ke kiwaDoN ne dekha unhe maikade kee daDaaDoN ne dekha unhe do badan do badan do badan pyaar ki aag meiN jal gaye azazalta abad ye bata chaaragar teri zambir meiN nuskha yeki miaaye mohabbat bhi hai kuch ilaaz-o-mudaawa-e-ulfat bhi hai do badan do badan do badan pyaar ki aag meiN jal gaye
36. ishq ke shole ko bhaDkaaO ke kuch raat kaTe dil ke angaar ko dehkaaO ke kuch raat kaTe hiJr meiN milne shab-e-maah ke gham aaye haiN chaarasaajO ko bhi bulwaaO ke kuch raat kaTe chasm-o-rukhsaar ke azgaar ko jaari rakkhO pyaar ke naghme ko dohraaO ke kuch raat kaTe kohe gham aur gaRaaN aur gaRaaN aur gaRaaN ghamza-do-tesh ko chamkaaO ke kuch raat kaTe
37. alwidaa (same as 21)
Lyrics : Josh Malihabadi (2,10,13,15,20,21) Hasrat Mohani (3,4,7,9,19) Asghar Gondvi (5) Jigar Moradabadi (8,11,14,16,18) Majaz (27) Makhdoom (28,36) Firaq Gorakhpuri (33) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh (rest of it) Chitra Singh (7) Vinod Sehgal (8,11,14,16) Ram Kumar (19) Kumar Sanu (28) Asha Bhonsle (34) with Jagjit

This page has been accessed times since 6th january 1997.