Saher



1.   tere baare meiN jab socha nahiN thaa
     maiN tanha tha magar itna nahiN thaa

     teri tasveer se karta thaa baateN
     mere kamer meiN aayina nahiN thaa

     samandar ne muJhe pyaasa hi rakha
     maiN jab sahra meiN thaa pyaasa nahiN thaa

     manaane ruThne ke khel meiN hum
     bichaD jaayenge ye socha nahiN thaa

     suna hai band kar li aaNkheN usne
     kai raatoN se wo soya nahiN thaa



2. muJhse bichaD ke khush rehte ho meri tarah tum bhi jhooTe ho ik tahni par chaaNd Tika thaa maiN ye samJha tum baithe ho uJle uJle phool khile the bilkul jaise tum haNste ho muJhe shaam bata deti hai tum kaise kapDe pehne ho tumh tanha duniya se laDoge bachhON si baateN karte ho
3. tumne dil ki baat kehdi aaj ye achha hua hum tumhe apna samajhte the, bada dhoKha hua jab bhi humne kuch kaha uska asar ulTa hua aap shaayad bhoolte haiN, baaraha aisa hua aapki aaNkhoN meiN aaNsoo kahan se aa gaye hum to deewaane haiN lekin aapko ye kya hua ab kisi se kya kaheN 'Iqbaal' apni daastaaN bas khuda ka shuKr hai jo bhi hua achha hua
4. kitni pi kaise kati raat muJhe hosH nahiN raat ke saath gayi baat muJhe hosH nahiN muJhko ye bhi nahin malooom ki jana hai kahan thaam le koi mera haath muJhe hosh nahin aaNsooN aur sharaaB mein guzar hai ab to maine kab dekhi thi barsaat muJhe hosN nahiN jaane kyaa tooTa hai paimaana ki dil hai mera bikhre bikhre haiN khayalaat muJhe hosH nahiN
5. ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai kahiN ik haseen sa khwaab hai kahin jaan lewa ajaab hai kahin chaaOn hai kahin dhoop hai, kahin aur hi koi roop hai kai chechre isme chupe huye, ik ajeeb si ye naqaab hai kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin gaa liya kahin cheen leti hai har khushi kahin meharbaaN behisaab hai kahin aaNsoOn iki hai daastaaN kahin muskurahaToN ka bayaaN kahin kbarkatoN ki hai baarisheN kahin tishnagi behisaab hai
6. yaad nahin kya kya dekha tha saare maNzar bhool gaye uski galiyaaN se jab lauTe apna bhi ghar bhool gaye khoob gaye pardesh ki apni deewaar-o-dar bhool gaye seesh-mahel ne aisa ghera miTTi ka ghar bhool gaye tuJhko bhi jab apni kasmeiN apne waayede yaad nahiN hum bhi apne khwaab teri aankhoN meiN rakhkar bhool gaye muJhko jinhone kaTl kiya hai koi unhe batlaaye 'nazir' meri laash ke pehloo meiN wo apna khanzar bhool gaye
7. charaag-e-ishq jalaane ki raat aayi hai kisi ko apna banaane ki raat aayi hai falaK ka chaaNd bhi sharmaake mooNh chupaayega naqaab ruKh se uThaane ki raat aayi hai nigaahe saaqi se paiham chalaK rahi hai sharaab piyO ke peene pilaane ki raat aayi hai wo aaj aaye haiN mehfil meiN chaandni lekar ke roshni meiN nahaane ki raat aayi hai
8. tere aane ki jab khabar mehke teri khushboo se saara ghar mehke shaam mehke tere tasavvur se shaam ke baad fir saHer mehke raat bhar sochta raha tuJhko zehno-dil mere raat bhar mehke yaad aaye to dil munnawar ho deed ho jaaye to nazar mehke wo ghaDi do ghaDi jahaan baithe wo zamiN mehke wo saher mehke
Lyrics : Meraz (1) Dr. Bashir Badr (2) Iqbaal Azim (3) Rahat Indori (4) Rajesh Reddy (5) Nazir Bakri (6) Faiz Ratlami (7) Dr. Nawaz Dewbandi (8) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh
ajaab : toofaan (storm) barkatoN : tarakki (prosperity) baarhaa : baar baar, kai baar (several times) deed : darshan (to see) jehan-o-dil : dil-o-dimaag (brain and heart) khanzar : chura (dagger) manzar : thikane, jageh (place) munnawar : roshan (full of light) pehlu : nazdeek ,paas (close) sajar : pade ( tree) sahra : registaan (desert) tasavvur : (imagination ) tishnagi : pyaas ( thirst )

This page has been accessed times since 29th Feb 2000.