Someone Somewhere


Introduction

We dedicate this ablum to the ever loving memories of our only son Vivek, who left us forever, at the age of 18, on the 28th of July 1990. When Vivek was born, he filled our lives with joy and music. Baboo, as we fondly called him, gave us all the success that we have had eversince he came into our lives. Baboo, right from his infancy, had a tremendous talent for music. His passion was for rhythm and currently he used to play the drums beautifully. Baboo has always influenced our music with his astute and invaluable suggestions and constructive criticism. We were half way through recording these songs for a double ablum, when Baboo left us so suddenly. These are a few of the songs we had managed to complete earlier. We don't know if these would have met with his approval. -Jagjit Singh Chitra Singh
1. din guzar gaya, ai'thbaar meiN raat kat gayI intezaar meiN wo maza kahaN basLe yaat meiN lutF jo milaa intezaar meiN Unki ik nazar kaam kar gaYi hosh ab kahaN hoshiyar meiN mere kabze meiN aaiyeena to hai maiN hooN aapke ikhtiyaar meiN aanKh to uthee phool ki taraF dil ulaZh gaya husn-haar meiN tumse kya kaheN, kitne Gam saheN hamNe be-wafa tere pyaar meiN fikR-e-aashiyaan har khizaam ki aashiYaan jalaa har bahaar meiN kis taraH Ye Gham bhool jaaYe hum wo juDa hua ishtihaar meiN
2. meRi zindagi kisi aur ki, mere naaM ka koi auR hai mera naqsh hai sar-e-aayina, pase aayina koi auR hai meri dhaDkanoN meiN hai chaapsi, ye judaaee bhi hai milaapsee muJhe kya patha, mere dil batha, mere saath kya koi auR hai na gaYe diNo ko kHabar meri, na shareeke haal nazar teri tere desh meiN, mere bhesH mein, koi auR tha, koi auR hai wo meRi taraF niGraan rahe, mera dhyaan jaaNe kahaN rahe meri aanKh meiN kai soorateN, mujhe chaahta koi auR hai
3. ab ke barsaat ki ruTh aur bHi bHadkili hai jisHm se aaG nikalti hai, kaBaN gili hai sonchta hooN ke ab anjaam-e-safar kya hoGa log bhi kaanch ke haiN, raaH bhi pathrili hai pehLe rag-rag se meri kHoon nicHoDa us'sne ab Ye kehtha hai ke rangat hi meri peelee hai muJhko be-rang hi na karde kahiN rang itNe sabz mausam hai, hawa surkh, fizaaN gili hai
4. faasila to hai magar, koi faasila nahiN muJhse tum juDa sahi, dil se to juDa nahiN aasmaaN ki fiqR kya, aasmaaN khafaa sahee aap Ye bataaye'e aap to khafa nahiN kashTiyaaN nahiN to kya, hausle to paaS haiN keh do na-khudaaoN se, tum koi khuDa nahiN lijiye bula liya, aapko khayaaloN meiN ab to dekhiYe hameN, koi dekhTa nahiN aaeeye charaaG-e-dil, aaj hi jalaaYeN hum kaisi kal hawa chali, koi jaanta nahiN
5. aadmi aadmi ko kya degaa jo bhi dega woHi khuDa dega meRa qaatil hi mera munsib hai kya mere haq meiN faisLa dega zindagI ko kareeb se dekho iska chehRa tumhe rulaa dega hamse pucho dosthi ka silaa dushmanOn ka bhi dil hilaa dega ishq ka zehar pee liya 'Faakir' ab maseeha bhi kya dawa dega
6. mere dukh ki koi dawa na karO muJhko muJhse abhi juda na karO na-khuda ko khuda kaha hai to fir doob jaao khuda-khuda na karO Ye siKhaya hai dosthi ne hame dosth bankar kabhi wafa na karO ishq hai ishq Ye mazaq nahiN chanD lamhoN meiN faishlaa na karO aashiqi ho ke bandagi 'Faakir' be-dili se to ye fida na karO
7. koi samJhega kya raz-e-gulshan jab taq ulJhe na kaanTon se daamaN yaq-ba-yaq saamne aana jaana ruk na jaaye kahin dil ki dhaDkan gul to gul-zaar taq chun liye haiN fir bhi kHaali hai khurchi ka daamaN kitni aara'ishYen aashiyaana TooT jaaye na nasha fir nashe meiN HashmateN aashiyaana baNa dee barF ko dosth samjhooN ke dushmaN
8. dekHa to mera saaya bhi mujhse juda mila socha to har kisi se mera sil-sila mila sehar-e-wafa meiN ab kise ehl'-e-wafa kaheN humse gale mila to wo hi be-wafa mila furshaT kise thi jo meri haalaath poochchta har shakhs apne baare meiN kuch sonchtha mila ussne to khair apno se moda that mooh haya maiNe ye kya kiya ke maiN gairoN se jaa mila
Lyrics : Fayyaz Ahmed Fayyaz and Fana Nizami (1) Muzaffar Warsi (2 and 3) Shamim Karhani (4) Sudarshan Faakir (5 and 6) Fana Nizami (7) Ayaz Jhansvi (8) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh Chitra Singh

This page has been accessed times since 6th January 1997.