Unforgetable Hits of Jagjit and Chitra


 
1.   bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai
     tuJhe ae zindagi hum door se pehchaan letey haiN

     tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raatoN meiN
     hum aise meiN teri yaadoN ki chaadar taaN lete haiN

     meri nazreN to aise qaafiroN ka jaan-o-imaaN hai
     nigaaheN milte hi jo jaam aur imaan lete haiN

     'firaq' aksar badal kar bhesh milta hai koi qaaTil
     kabhi hum jaan lete hiaN kabhi pehchaan lete haiN


2. raat bhi neend bhi kahaani bhee haaye kya cheez hai jawaani bhee dil ke sholoN se paDti hai sehra zindagi aag bhee hai paani bhee khaRk kya kya muJhe nahiN kehti kuch sunooN maiN teri zubaani bhee paas rehna kisi ka raat ki raat mehmaani bhee mezbaani bhee
3. yeh mojeza bhi mohabbat kabhi dikhaaye muJhe ke sang tuJhpe gire aur zakhm aaye muJhe wo meharbaaN hai tho ikraar kyooN nahiN kartha wo badgumaaN hai tho sau baar aazmaaye muJhe wo mera dost hai saare jahaaN ko hai maaloom daga kare wo kisi se tho sharm aaye muJhe maiN apni zaat meiN neelam ho raha hooN 'qateel' gham-e-hayaat se keh do khareed laaye muJhe
4. kisi ranjish ko hawa do ke maiN zinda hooN abhi muJhko ehsaas dila do ke maiN zinda hooN abhi mere rukne se meri saaNse bhi ruk jaayengi faasile aur baDha do ke maiN zinda hooN abhi zehar peene ki to aadat thi zamaane waaloN ab koi aur dawa do ke maiN zinda hooN abhi chalti raahoN meiN yooNhi aaNkh lagi hai 'faakir' bheeD logoN ki hata do ke maiN zinda hooN abhi
5. aaye haiN samjhaane log haiN kitne deewane log dair-o-haram meiN chain jo miltha kyoN jaathe maikhaane log jaan ke sab kuch, kuch bhi na jaane haiN kitne anjaane log waqt pe kaam nahiN aathe haiN ye jaane pehchaane log ab jab mujh ko hosh nahiN haiN aaye haiN samjhaane log
6. kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah log milte haiN badalte huye mausam kee tarah mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah
7. dard badhkar fughan na ho jaaye ye zameeN aasmaaN na ho jaaye dil meiN dooba hua jo nashtar hai mere dil ki zubaaN na ho jaaye dil ko le leejiye jo lena hai fir ye sauda garaN na ho jaaye aah kije magar latif tabhi lab tak aakar dhuaaN na ho jaaye
8. jawan hain raat sakiya sharaab la sharaab la zara si pyaas to bhuja sharaab la sharaab la tere shabab par sada karam rahey bahaar ka tujhay lage meri dua sharaab la sharaab la yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh mein mitaa dey naam hosh ka sharaab la sharaab la tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la
9. ek na ek shamma andhere mein jalaye rakhiye subaH hone ko hai maahOl sajaaye rakhiye jinke haathoN se hume zakm-e-neha pahunchi hai wo bhee kehte hain ke zakhmoN ko chupaaye rakhiye kaun jaane ke wo kis raah-guzar se guzre har guzar raah ko phooloN se sajaaye rakhiye daaman-e-yaar ki zeenat na bane har ansoo apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye
10. tumne sooli pe latakte jise dekha hoga waqt aayega wahi shaksh maseeha hoga khwaab dekha thaa ke sehra meiN basera hoga kyaa khabar thi ke yahi khwaab to sachcha hoga maiN fizaaoN meiN bikhar jaaoonga khushboo bankar rang hoga na badan hoga na chehra hoga
11. manzil na de charaag na de hauslaa to de tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb mere khuda kahaN hai tu apna pata to de beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de
12. kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH
13. ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de
14. ye to nahiN ke gam nahiN haaN meri aaNkh nam nahiN tum bhi to tum nahiN ho aaj hum bhi to aaj hum nahiN ab na khushi kee hai khushi gam ka bhi ab to gam nahiN maut agar che-maut hai maut se zeest kam nahiN
15. tere khushboo meiN basay khat main jalata kaisay pyaar mein doobay huye khat main jalata kaisay teray haathoN ke likhay khat main jalata kaisay jinko duniya ki nigaahoN say chupayey rakha jinko ik umar kalayjay say lagayay rakha deen jinko jinhay imaan banaay rakha jinka har lafz mujhay yaad paani ki tarah yaad they mujko jo paigaam-e-zubaani ki tarah mujko jo pyaarey they anmol nishani ki tarah toone duniya ki nigaahoN say jo bach kar likhay saal-ha-saal mere naam barabar likhay kabhi din mein to kabhi raat ko uTh kar likhay teray khat aaj main Ganga mein baha aaya hooN aag behtay huye paani meiN laga aaya hooN
16. hum hi mein thee na koi baat, yaad hi na tumko aa sake tumnay hameiN bhula diya hum na tumhe bhula sake tum hi na sun sake agar kissa-e-gham sunega kaun kis ki zubaan khulegi phir hum na agar suna sake shauk-e-visaal hain yahaN lab pe sawaal hai yahaN kis ki majaal hai yahaN hum se nazar mila sake
Lyrics : Firaq Gorakhputi (1,2,14) Qateel Shifai (3) Sudarshan Fakir (4) Kunwar Mahendra Singh(5) Rana Sahri (6,11) Jigar Moradabadi (7) aariq Badayani (9) Sahir Hoshiarpuri (10) Prem Warbartni (12) Shahid Meer (13) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh Chitra Singh

This page has been accessed times since 15th Feb 1999.