Live in Concert at Wembley



1.   andaaz apnay dekhtay haiN aainey meiN woh
     aur yeh bhi dekhte haiN koi dekhta na ho

     kal chaudhveeN ki raat thee shab bhar rahaa charcha tera
     kuch ne kaha yeh chaand hai kuch ne kaha chehra tera

     hum bhi waheeN maujood they hum se bhi sab poocha kiye
     hum haNs diye hum chup rahe manzoor tha parda tera 

     is shehar mein kis se mileN hum say to chooti mehfileN
     har shakhs tera naam le har shakhs deewana tera 

     kooche ko tere choDkar jogi hee ban jaayeN magar
     jungle teri parbat teri basti teri sehra tera

     bedard sonani ho to chal kehta hia kya achchi ghazal
     aashiq tera ruswa tera shaayar tera 'insha' tera


2. der lagi aane mein tumko shukR hai fir bhi aaye to aas ne dil ka saath na choDaa waise hum ghabraaye to shafak dhanuk mehtaab ghaTaayeN taare naghmeN biJli phool us daaman meiN kya kya kuch hai wo daaman haath meiN aaye to jhooTh hai sab taarikh hamesha apne ko dohraati hai achcha mera khwaab-e-jawaani thoDa sa dohraaye to suni sunaayi baath nahin hai apne oopar beethi hai phool nikalte haiN sholoN se chaahat aag lagaaye to
3. Saun da maheena yaaro (Punjabi)
4. umR jalvoN meiN basar ho ye zaroori to nahin har sab-e-gham ki sehar ho ye zaroori to nahin chasm-e-saaqi se piyo yaa lab-e-saagar se piyo bekhooodi aaThoN pehar ho ye zaroori to nahin neeNd to darRd ke bishtar par bhee aa saqti hai unki aahosh meiN sar ho ye zaroori to nahin seikh karta to hai masjid meiN khuda ko saJde uske saJde meiN asar ho ye zaroori to nahin sab ki nazroN meiN ho saaqi ye zaroori to hai magar sab pe saaqi ki nazar ho ye zaroori to nahin
5. isme koi shiqwa na shikaayat na gila hai ye bhee koi khat hai ke mohabbat se bhara hai kya yaad dilaayenge muJhe mere sitamgar har naksh-e-sitam khud mere sineN meiN likha hai muJhko meri aawaaz sunaayee nahiN deti kaisa ye mere jiSm meiN ik shor macha hai chehre meiN hai aayeena ke aayeena meiN chehra maloom nahiN kaun kise dekh raha hai hr> 6. babul mora naihar chuto ri jaaye
Lyrics : Ibn-e-Insha (1) Andleeb Shadani (2) Chaman lal Chaman (3) Khamosh Dehlavi (4) Iftikar Iman Siddiqi (5) Traditional (6) Music : Jagjit Singh Voices : Jagjit Singh Chitra Singh

This page has been accessed times since 24th April 1997.